Thursday, April 30, 2020

Phuur...


Kehete The...

Jis peher se beetey hum
Who peher tere kal ko na jaane
Tu upni Manzil
aur upni kiasmath
Khud upne haatho se likhna jaane

zindagi kuch bole
Nidar Chalna hai tujhe
Taqdeer ke saath Buland
Rehena hai tujhe


Purani Baatey aur Purani soch
Se aagey badna hai tujhe
Har Mukaam par yaad karna hai
Is bachpan ki seekh ko tujhe

Dunya ke saath
Aur Samay ke peeche
Aagey badna hai tujhe


Ab Kehete hai mujhe...

 jo Guzar Gaya bachpan
Toh Upni seekh bhulani hai tujhe
Jo pad likh ke aagey nikla
Waapas toh aana hai tujhe

umar ke saath aayega samajh
gareebo mein nahi, doodh
baata jata hai bhagwaano mein
Aur sitare ek khoobsurat dhrishti nahi
Insaano ke pagalpan ke karan hai

Kehete hai mujhe ...

Umar ka tajurba hai
Har din ek Samaan nahi
Har Din ek bhagwaan nahi
Har din ka varat alag hai
Har din ka bhog alag hai

Ki
Har cheez  se mujhe archan hai
har achcan ka ek upai hai
Archano se mujhe
seekhna hai nahi
Andar ki or dekhna hai nahi

Yaha Eeshwar ka koi nyayay nahi
bas puja ka yeh ek paat hai
thoda paisa thoda Karam kaand hai
Koi din na ek samaan hai
Kabhi shani kabhi mangal
Inka na koi deen imaan hai

Yaad hai!...

Dunya ke saath
Saymay ke peeche
Lagta hai
Parinda hu mein
Ek din
phuur ho jana hai mujhe

No comments:

Post a Comment